Vikalp yes ka matlab transferred nahi hota. Vikalp Yes matlab dusra trains opted hain bas. Vikalp transferred dikhaya toh transfer hua hain. Aur vikalp ka koi alag chart vagera nahi banta. Original train ke charting ke waqt agar dusre train mein availability ho toh bas transfer karta hain. Nahi toh game over. Vikalp opted trains ka charting se koi matlab nahi.
Mera 12th ka 16210 , 13th ka 12951 mein transfer hua 3A mein. 16210 ke charting ke time transfer ka SMS aaya. 16210 ka charting 14 50 hua PUNE se. Vikalp bas dynamic fare bachane ka vikalp hain.